Saturday, October 5, 2013

Pyar main tumse karti hu…

Phul jo khila wo murjha bhi gaya,
Wo paas to aaya  par  uljha bhi gaya,
Kitna bhi chahu par suljha na pati hu,
Wo dur gaya to dil chura le gaya.

Yaad hai wo pal jab mili thi pahli baar,
Mere mann mein bhi bahene lagi thi thandi bayaar,
Ek teer sa ake chubha mere dil ke aar paar,
Baat ye thi ki mujhe aa gaya tha tujhpe pyar.

Tujhe dekhkar hi mere dil ko aata tha karar,
Jee karta tha dekhti rahu tujhe baar baar,
Tum the ki milne bhi aaye nahi ek baar,
Aur main palak pawerein bichay kar rahi thi tera intezaar.

Din gujarte rahe waqt aage bada,
Aur humara pyar bhi apne parwan chada,
Duriyaan simatti gayi, nazdikiyaan badti gayi,
Par haye ye waqt fir humare samne khada.

Pyar ka sawan beet chuka tha ab patjhar ki bari thi,
Saath gujre lamhe beete bicharne ki ab bari thi,
Main bechari asamanjas, tumhe rok bhi naa payi,
Hansi- khushi mein din the beete, rone ki ab bari thi.

Tumko aage hi badna tha, aasman pe chadna tha,
Yahi soch thi mann mein mere, mann mein tera sapna tha,
Yahi duaa hai rabb se meri tujhko aage lee jaye,
Tu mera hoga ek din yahi mera bhi kahana tha

Aas lagaye baithi hu, raah teri main takti hu,
Laakh chupayun chup nap aye,
Pyar main tumse karti hu
Pyar main tumse karti hu…

No comments:

Post a Comment